Friday 26 June 2020

Chronic Suppurative Otitis Media (CSOM) : Sulph

Pt Greets dr here with namaste gave referance of dr name and asking case leni he na ?
Pt ; Kuch nahi wesa Muje
Right side ear 👂 hole hai
Left sided hole cured (pt said here he did bhramari ( specific type of breathing technique ) cured left ear hole

Right sided since childhood
(After bath or bal badh gaye ya jada der gila raha ,environment change hua to ) pani ata he ismese
Infection jesa hota he

2 to 3 ENT surgeons ko dikhaya

Bich bich me infection hota he infection pe unke student se 2 or 3 dose repate kiye he par kam nahi ho raha he

Dr : ab kya taklif ho rahi he

Pt : Abhi koi taklif nahi he thoda  pus hota he pani ata he
Brain tak infection nahi jaye isliye me care karta hu

Future me ise operation kara lunga eardrum nahi cure hua to
Lockdown k karan Abhi nahi infection kam karenge pehle
Dr ne bhi wahi kaha allopathic walo ne kaha naya bitha lenge

Cover nahi hua he so medicine lena he

Aur ek taklif he
Urine ka force sufficient nahi he ruk ruke hota he X-ray karaaya prostste gland badh gaye he
BP he dm he control me he
Itna sara he ( laughing slightly)

Paralysis hua tha  2005 me aur 2006 me ase do bar hua left side me allopathic treatment ki uske liye
One month admit tha

Sonography kiya tha prostate gland ka operation nahi kiya o reh gaya (accha ho gaya tha bichme )
Jalan nahi hoti he undergarment gili hoti he
Bich bich me uski dava leta tha fir band karne ko kaha
Dr ne kaha mat lo ab nahi leta
Bichme
Dehydration hua tha uspe dose liya tha 2:4 month accha tha force konsi dava suit hui thi nahi pata
Homeopathy ne clear hua tha
Shayad

Dr : kan se sunane k liye koi taklif hoti he ?
Pt : test ki he uski bhi thoda sunane me hota he right se left se ekdam sahi he

Right se bhi hota he par easy nahi dr ne kaha infection ja sakta he brain tak to tum dhyan rakho

Aur corn he Muje ayurvedic liya surgery bhi ki left side ek he Abhi bhi gaya nahi o
Kisi bhi chij se accha nahi hua he
Surgeon ne 3 bar oparet kiya he itna jalaya he use surgen ne o kehte he kis liye hote he pata nahi
Panch dhatu se jalaya
Homeopathy bhi liya par nahi hua

usko chod diya mene ab

Dr :Retirement kab hui ?

Pt : 9 yrs ho gaye

Kuch din stres me tha 11 :se 2015 par ab me bindhast rehta hu
2011 se 15 bacchonka settlement shadi
Ab nahi asa ab relax hu

Ab stress factor nahi
Pune me yoga pranayama group he mera Young logo k sath rehta hu me class nahi leta society me ek sath pese nahi leta trekking me jana laughing club karna Sat Sunday khana khaana sabke sath ase

Family k hisab se me accha hu finicially mentally satisfied hu

Abhi koi tension nahi he

Dr ; Koi to tension hoga kuch bhi?

Pt : nahi abhi nahi

Abhi tour karke aya veena world  k sath ghumana pasand he Muje Pata he khush kese rehna he mera bada group he akele nahi rehta me trip karte he Morning walk karte he

Dr : group me rehne ki adat he to lockdown k group k touch me nahi ho to

Pt ;asa nahi Muje radio pasand he pranayam karna
Idhar bhi karta hu relax me ghumne ana subha nahake puja karna gane sunana bore nahi hota ab adat ho gai ab

Dr : Kam aur retirement ka kese adjest kiya
Pt ;Pehle 2:4 month taklif hui khane ka thoda adjest kiya profesar tha 3500 student the logo k bich me rehne ki adat vice principle tha promotion hua tha
Fir retire hua

7;8 month me Bhakti bhav me badal hua pehle me bhagvan ko nahi manata tha waha mujpe sanskar huve samja khana parosna kitna seva dete he sab sikha

Dr :Waha se ate wakt kya hua?
Pt :Thoda bura laga waha se ate wakt usko ham badal nahi sakte option nahi tha retirement ho gaya

Retirement me karan kya change hua

Work ka tension tha uska koi tension nahi raha uske bad tab rehta tha ab nahi uska koi bhi tension

Dr :Wife k sath kesa he relation
Pt ...ha ,,, accha he kesa he ye meri second wife he ye meri student he 11 sal ka gap he age me usko me sikhata tha
Tuning he achanak ghatna hui ye he sambhalne k liye thoda to sabko adjest karna hota he

85 me achanak se o gaye ( first wife ) tab me 5 sal Bahot stress me tha

Second wife ne bacchonko accha sambhala Maa jese
(bacchonko 16 k age pe pata chala k uske dusri ma he
itni acchi he

Bacche aur daughter in law k sath kesa behave he
Accha he sabke sath

(Dr beta ) k sath thoda prob hua tha me keh raha tha mix practise karo par usko jo karna he kiya thora argument hua tha 13 sal huve ab

2012 shadi hui Dr ki mrs unke argument huve waha hamare argument huve

O sal mera thoda stress me gaya me America gaya waha dusre bete k sath waha jake mera tension kam hua

Argument na ho islye me kam contact karta hua me khud nahi puchta bacchonko nahi lage k usme bichme nahi ana suggestions nahi acche lagte accha he ham dono ka

Dr ; do bat hoti he ek hota he ghussa aur situation asi hoti he hame acchi nahi lagti sunana nahi use
Asi konsi situation thi jo apko laga nahi sunaana he

Pt :aisa kuch nahi barish k dino me Pune me tha environment ka hoga shayad sar se pani nahi liya to prob hoti he
Sar se pani nahi liya to nahi lagta nahaye he par
Leta hu to thora balo me bas ati he
Sar se pani nahi liya to koi prob nahi hoti he

Koi ghussa ya man me kisika kuch nahi he

Bacche pe bhi ghussa nahi he

Dr : Apko laga apki galati hui pehle apne force kiya ab apko yehsas hua apki galati samaj me aai
Pt :Ha aisa laga tha o galati kar raha he homeopathy kesa chalega sirf kesa hoga uska progress kesa hoga par ab lagta he uske decision acche the
Kisika koi tension nahi he 100 percent sure hua sahi he o jo kar raha he

Rubric Considered :

1. Anxiety - children, about his
2. Delusion - wealth, of
3. Sociability
4. Affectation

Sulphur 30 : tds : 3 days

90% better within 15 days

Now, he postponed surgery as homoeopathy medicine is giving result!!!

No comments:

Post a Comment