Thursday 26 November 2020

Phos : case chronic acid peptic disorder, Anxiety

Dentist professional
Acidity recurrent since
10:12 yrs
Took homeopathic also
3;4 yrs back gastroscopy
H pillory infection ?
Visit Gastrologoist Solapur
Dr Said anxiety related and psychological issues nothing else taking antacid for that
Habitual hua hu , kabhi kabhi taklif hoti he vertigo ho rahe the ,rest liya to thik lagta tha par kabhi accha hua hi nahi he ,,,bich me 10:15 din kuch nahi hota he fir ekdam se hota he
Kabhi kabhi hota he mark nahi kiya koi relate nahi kiya stress se
Kabhi kabhi hota he stress se u know reason hota he man k Khilaf hua practise me kuch hua to stress hota he par continue nahi he

Staf k sath accha he 30 ;40 pt dekhta hu patient pe nahi chidata acchi practise he finically I am stable
Kabhi koi patient pareshan karta he par me dikhata nahi man me rakhta hu
Staf pe bhi nahi chidta

Sara ghussa shayad mera meri beti nikalta he sunti nahj he pani manage to badme degi Exzeesize karo bola to karti he ek do bar fir bhul jati he ladki 10 sal ki he 2 sal se hi uspe chidta hu
Lagta he o sune ek hi bar me Kahu to

Ghar pe wife son and daughter he sabke sath thik he
Wife k sath bhi accha coordination he use homeopathy karne k liye support kiya supporting hu lions club me bhi use karaya age conflict hota he family matter pe kabhi kabhi meri family ko leke hota he kabhi meri family uneducated he use Thoda pasand nahi baki itna nahi he
Me rishtedar aur family k isme jada involve nahi rehta career oriented hu meri family ko time deta hu wife and kids but baki sare relative ko jada priority nahi deta mera time hua to chala jata hu

Kisi relative ka kuch nahi he me Akela hi jada educates hu meri family Bahot garibise age aai he ,unko abhiman he mera ,mere papa k jesa hu me ,mere papa bhi apne family ko accha samay dete he baki family relative ko itna imp nahi he unko bhi asehi problem he mere acidity jese unko bhi he Muje bhi he nature bhi same he ,mere papa ko Mujse koi problem nahi he ,hoga to bhi bataya nahi he ,maa Thoda darti he Mujse ,Muje koi chij use pata he nahi bolti he fir ,Muje finicial and all mater pe dekhta hu unko nahi samjta fir me jada dhyan nahi deta hu

Other dr k sath acha he mera mere second ko ki practise he jr k sath to accha repo ahe kisise koi compition nahj he ek sr k sath me rakhta he man me hi par uske jesa ya usase age par jealous nahi hu na rakhta hu
Mene apne apko bandha hua rakha he kisike status ya pese ka kuch nahi he mere papa ka floor mil he Abhi bhi o uspe kam karte he me khud bhi waha kam karta tha free time pe Bahot pehle ,chota bada sara kam kiya he itna me rakhta nahi Muje pata he mera

Lions club ka president reh chuka hu ,acche friends he ,social status accha he har ek program me bulate he pesa secondary he , mene banaya he mera status ,4 sal se change hua he sab maintane karta hu ab social involvement karta hu pehle nahi karta tha pehle Carrier oriented hi tha par ab sab karta hu

Ek sr he 7:8 yrs bade he ,unke yaha kam bhi kiya he unse age nahi par unke jitna hona he ,unethical nahi karna chata par lagta he no 1 to ho sakta hu

Choti bimari ,bhi badi lagti he kabhi kabhi wife ka usko sinus bronchitis ka lagta he ,md ko dikhao usko bolta rehta hu chalo bade Dr k pass jayege ,mere pehchan k he dr waha opinion le sakte he ,ladki ko bhi le jata hu health related conscious rehta hu

Health related hi thodi rehti he jada anxiety mera batch mate gujar gaya 3 sal pehle MI
Mene bhi mera ecg kiya chest pain hua tha tab 1:2 bar karke aya wife ko
Bhi nahi pata shayad

Thoda suffocation jesa hota he train me bhi ,hua tha local
Se nahi kiya travle ,us din Bahot gardi nahi thi badme Bahot gardi hone lagi to Muje aur bhi taklif hone lagi ,irritate hone laga ,,,,

Pani me gir jaunga sea k pas lagta he k dub jaunga kabhi bus se gaye train ulat jayegi pani me

Extrme level ka dar thought ata ,acidity ,khudse invistigate karke ata hu ,ek patient aya uski wife gai ,pet cancer hua tha ,uska suna to stress hua ,fir mene bhi sonography karke aai khudko koi prob na ho

Ek bar anal bleeding hua tha 7;8 yrs pehle fir badme 5 sal bad hua surgeon ko dikhaya kuch nahi nikala
Gastric related sare problem he isliye laga fir karta hu

Thoda restless hota he rule out karne ka rehta he
Cough bhi hua to rule out kare miss nahi karna he
Allergic sinusitis he 12 sal se wife ko uska bhi test karaya usko bhi treatment karaya
Allergic bronchitis he o badme copd hoga fir usko old age me asthamatic hua to usko hi prob hoga so usko bhi abhi Treatment karaaya

Bichme 1 .1/2month se jada patient Pune se aa rahe the band karaaya bichme barshi me sabne decide kiya tha one and one half month band kiya corona k karan April me OPD chalu kiya

Dr friend ko pucha dar nahi lagta kya fir usne kaha uske bad fir mene bhi start kiya tension Thoda ata tha fir bhi kiya

Fir ek din sardi hui ,exposure hua hoga so homeopathy ka mindset nahi tha so mene anti cold le liya use pata bhi nahi hoga

Azithromycine li thi 3 din

Sham ko nahi jata ab thode din
100 patient ho gaye ab Roj ke  ,pata chala ek friend gujar gaya to back of mind stress hua 2 din Thoda lagta he fir wapas karta hu

Wife on call ;- I am only dominating
Husband is co operative patience he khup me hi chidti hu  chije bhi feki to bhi ek shabd nahi bolate

Kids aur mere liye bhi Bahot cautious he thoda darte jaldi he
Pehle se strong ho gaye pehle stage pe nahi bol pathe the ,ab accha hua he

Ek unka friend gaya to dar gaye the

0 se start kiya poor family se aye khud achieve kiya ambitious he family ka care karte he investment karte he finically sound he to uska problem nahi he

Thoda alasi he saman yaha waha rakhte he khate wakt girate he choti choti chije me fastidious hu unko dhul me bhi kam chalta he

Unko lagta bhi nahi me dominate karti hu

Kisiko kuch kehte nahi hurt nahi karte par
Silently badla lete he ,usko realise karayenge kisko galati he
Kisine kuch kaha to achieve karte he baher k logo ne ego hurt kiya to dil pe leke achieve karenge
Par family walo k sath kuch nahi he sun lete he me kuch kahu to

Rubric selected :

Ambition increased
Anxiety health about relatives of
Delusion wealth of
Communicative
Indifference relations to
Light desire for
Patience
Pompous important

Phos 200 tds 3 days

F/u after 2wks :
In between felt acidity but did not take antacid.

Then follow up after 1 month :
No complaint as such but one dentist expired from Covid 19. Feeling anxious.

Phos 200 in water dose

Then follow up after 2 months :

Everything is fine.
Thank you so much doctor.
I never thought it will be cured permanently.
Thank you once again.

No comments:

Post a Comment