HOMOEOPATHY
Saturday 29 May 2021
Sepia : Covid case HRCT score 11
Friday 30 April 2021
RUTA : A Case of Abdominal Pain and Diarrhea (Food Poisoning)
Wednesday 17 February 2021
Nat mur : Self controlled person : Allergic BRONCHITIS
A Case of Homoeopathic Dr :
C/o - Coryza, Fever, & Cough
Pt - Pehle bukhar hua , jukam tha
bukhar kam hua uske sath khasi ho rahi thi andar hi andar tha bahar nahi tha
khasi itni thi balgam nikal nahi pata tha kabhi normal thi tab bhi aise cough ata tha ,,
Sticky and ropy tha uthake khecho to rope jese uske liye
Mene kali bichorm liya tha par jese desire result nahi mila
Ab Ekdam jor se ati he Bahot ati he fir sukhi khasi
Khasi nahi ja rahi he pareshan ho rahi hu
Me jaldi dava khati nahi hu
Buri adat he
Dr - Kyo ?
Pt - Pata nahi pehle se accha nahi lagta der ho jati he fir
Dr - uske piche Kya Reason he ?
Pt - Koi reason nahi he yahi alasi pan
Dr - Taklif ho to chalega ?
Pt - Jada taklif ho to pareshani hoti he Bahot nahi hota tab tak
Dr - itne din me ek hi dava li
Nahi pehle mene belladonna liya fir kali bichro li
Dr-Jada nahi hota tab tak nahi leti
Shuru me bell liya fir kali bichorm , phosph usase bhi kam nahi hua
Dr - dimag me kya chal raha he ab ?
Pt - Asar me mere karan ghar wale pareshan hote he
O log kehte he allopathic ke pass jate he
Dr- Unka bolna thik he itni taklif he
Pt - Samne wala khasta he sahi me apno ko sehan nahi hoti be sab logo k bich me hoti he to sab pareshan ho jate he fir
Khana khate khate hoti he sab pareshan ho jate he kitni taklif ho rahi he
Nahi me leti hu homeopathy to hamesha farak padta hi he na so nahi liya
socha is bar bhi pad jayega
Dr - Aju baju k bolte the to Allopathy lo to
Pt - nahi accha nahi lagta sunke ko bhi accha nahi lagta ham homeopathy se khudko accha nahi kar paa rahe he bura lagta he
Dr - Thik he
Pt - Ho jaungi thik le rahi hu dava to talti rehti hu bas yahi
Pt - aur ek bat he
Taklif jada hoti he moaning Bahot badh jata he karhati Bahot hu , maa... he allha ,
Dr - Accha Lagta he usase ?Bimar ho tab ?
Pt - ha , koi bhi bimari me hota he bukhar me hota he khaste wakt
He maaa Bahot taklif ho rahi he
(Long gap )
Is dafa nahi itni taklif jada pehle Bahot hoti thi ab itna nahi he pehle nak beh nahi pati thi ab aisi nahi he sardi khasi pe Chali gai , nak block hua suk gaya nak saf karne ki nobat nahi aai
Dr - jab Ghar wale dilasa dete honge tab kesa lagta he
Pt - dava lana he hamko bolo ham la dete he ghar wale kehte he
Accha lagte he Wese to
Par aisa karu unke
Tasalli ke liye sac lac khani pade , time hoga to khud hi le lungi , Talati rehti hu ,,
Dr - Aap ek kam kijiye ,,,,,, 30 le lijiye
Three doses
4-5 ghante me follow up dijiye
aur rat 10/10:30 baje whatsapp kariye...
kal ek follow up dijiye
.
.
.
.
.
Rubrics :-
Self-control increased
Hopeful
Objective reasonable
Nat mur 30 3doses were given.
Follow up :--------------
After 5hrs :
Thoda aram lag raha hain
Next day :
Balgum niklna shuru hua, khasi bahot kam ho gayi hain
Bhukhar nahi hain
Weakness bhi nahi hain abhi
After 1 wk :
Till 5 to 6 days expectoration was going on with sense of relief.
.
.
.
.
.
Why
Self-control increased ????
Core of NM is ..... Dignified.
Dignified means self-respecting and worthy.
Something that has dignity is honorable and worthy, so something that is dignified acts in an honorable, worthy way, showing great self-respect and respect for others. If someone handles a terrible public embarrassment gracefully and without breaking down, we might compliment her dignified manner. You might be too dignified to beg for a job even in hard times.
"Walks with head high as if nothing is happened"
This is unique isn't it?
This is Exclusive nature of NM.
Exclusive, too
So much of dignified person is sensitive to many things.
Coz it's also in
Proper too
To be a proper u have to avoid error and mistakes. More proper u r more sensitive u become to ciriticism and to opinion of others.
Sensitive criticism to
Sensitive opinion of others to
More the dignified person is life situation comes to make them feel Indignation. Just like Fastidious person, Surrounding will be more messy.
Fastidious
Aversion to fuss
Fuss :
exacting especially about details
“fussy about clothes”
If you’re fussy, you’re all about the little details. You want the dressing on the side, you want your collar just so, and you want the place mats arranged at a 90-degree angle
*Indignation - pregnant, while Single NM
*Delusion - wretched - she looks - looking in a mirror; when
*Picture taken, aversion to having his/her..Single NM
*Looking - mirror agg; into the
*Looked at - can not bear to be - faces the wall if anybody talks to him ...Single NM.
What do you think such a wretched and Indignant person will accept consolation and pity???
*Consolation agg - sympathy agg
*Admonition agg
*Fear - pitied, of being
*Weeping - pitied, if he believes he is
*Weeping pregnacy during
*Company aversion to pregnancy during
*Weeping controlled
*Weeping alone when
As we know NM is reserved, will not share and ask help, he will let him suffer and lands in despair state.
Despair - miserable existence about her
Sadness - suicidal disposition with
Thats where NM desires light
Light desire for
Otherwise.....
*Dwells on past disaggreable occurances on - grieve therefore to...Single NM
*Delusion net as if in a ...Single NM
The more NM tries to come out of net the more down he goes.
One opposite pole of NM is..
Talking prolonged amel
Shameless - bed, in single NM
As he is loyal, he expects same person in his life to him he can confide....Share his grief and all.
*Loyal
*Loyal - relationships, in
*Confiding - people confide in him, many ....Single NM
Tuesday 1 December 2020
Rhus glabra : Case of chest pain, dyspnea in hypertension
A case of Hypertension :
Pt greet to dr
Kal rat ko 2 baje me utha achanak jese me uthake betha khasi ho rahi thi pani piya wapas betha , fir leta Dry khasi ho rahi thi 1-2 min k bad wapas khasi ho rahi thi
Chest (heart k paas ) Pe hat lagake dekha to palpitation ho raha tha Muje sunai de rahi thi dhadkan
Pasina aa raha tha bethke thik lag raha tha
Sone ja raha tha tab taklif ho rahi thi bethke thik lag raha tha to relax lag raha tha
gala chock hua asa lag raha tha Bahot breathing prob ho rahi thi gala uncha karke lambi sans le raha tha
(Deep breathing pe accha lag raha tha )
Dar gaya tha me ,kuch ho jayega kabhi bhi
Gala dabaya ho kisine aisa lag raha tha
Suffocate ho raha tha so hi nahi paa raha tha adha lit pani piya
Left side nahi so paa raha tha pain ho raha tha
BP ki tab li to laga thik lagega par aisa nahi hua
Subha 5 baje tak wahi chal raha tha
Body thanda pad gaya tha
Msg kiya (dr friend ko?? )
1 hr nind aai hogi
One moment laga kuch ho hi jayega ab Muje
Subha uthke me dukan pe jane tak breathless chest pain ho raha tha
Phone kiya cactus 200 lene ko kaha
1 hr tak thik laga par
Wapas prob hua chest pain heavy lag raha Thorat pe pain chocked Aur kuch chub raha he aisa feeling sweating ho raha tha
Breathing ka prob nahi he par chest pain he Abhi bhi
Dr :dr k pas nahi gaye ?
Pt:aaj OPD nahi hoti he army hospital me bp k liye Cardiologist;nephrology k pass bhejte he ,ek duje k pass kya kiya puchte he report kiye 3 bar kiya
(24 hr ki )
G dr k pas pain killer dete he mera kuch hua to isme mene kya karna he puchne wala hu dr ko tum hi sari dava do
Pyarathyroid karaya 2 bar kiya unhone kaha wapas karo
test karne ko kehte he lagta he unko hi unke test pe bharosa nahi he ghumate he
Proper diagnosis nahi de rahe
Dr-Army hospital me kyo jate ho ? Baher kyo nahi dikhaya ?
Dr-Kon he army me ?
Pt ; (confused ) pehlese hi wahi jata hu army hospital me
Pt:Papa he army me
Dr-Army hospital me hi kyo gaye ? Itna emergency he bahar kyo nahi gaye ? Kyo ?
Pt ;pata nahi ,kal subha jane wala hu
Dr :Ab kesa he aaj rat ka ? Kya karne wale the?
Pt : Abhi me thik hu kal jitna prob nahi he kal karne wala hu sab
Dr;Aur ?
Kya soch rahe ho ye sab ho raha he ? Abhi k situation Pe ?
Pt ; me Bahot dar gaya ,mere papa ko hua ,Wese Muje hoga ?
Dr : Kya hua ?
Pt ; kal me Bahot dar gaya tha , Papa ko 3 bar heart attack hua ,angioplasty hua Muje bhi laga Asia hoga , mere dimag me wahi tha jo dekha ,Muje bhi aisa hi kuch hoga ?
Dr:itni taklif hui aaj kyo nahi dikhaya
Pt;Aunty ko dm ka prob he unka suger high hua tha , hospital le gaya
Uncle ko le gaya
Dr:Waha nahi dikhaya ? Tumhe nahi laga waha dikhane ka ?
Pt ;Nahi BP chk kiya pucha chakkar aa rahe he kya unko laga pehli bar hua mene kaha BP ka prob he dava leta hu
160/100 tha 1 Pm baje
Dr;Kabse prob hua ?
Pt ;June se
Dr ;Kya hua tha aur ye hua ?
Pt ; ghar pe hua pehli bar itne din ghar pe raha
Ghar me tha tabse hua ,ghar ke logo ke behaviour k wajah se (spl maa ka behaviour!) torcher kar rahe the jese samj nahi rahe the k COVID k karan ghar pe hu Lockdown k karan me gahr Pe tha
Bahar ja kuch kam kar kuch kama
Dr; Lockdown k pehle kya kar rahe the
Pt ; Master kar raha tha anthropology me Pune university
Dr ; Torcher kya tha ? Kama iske liye ?
Pt ; Mere age k bacche kama rahe ,tu ghar pe Betha ,ghar ke choti choti bate
Dr ; Maa se ,kya prob hya ? Spl maa se hi prob kyo ?
Pt ; Maa ko hatred he , respect nahj use care nahi dikhana he bas he kuch nahi khana ka bhi kuch nahi ghar hoke bhi mere hak ka kuch nahi papa ko pension he sab accha he jo chahiye o nahi milta sab mast he 2 jan k liye 10 hajar ka saman bharte he
Bhai he Muje chota o second yr he ba kar raha ,free lancer karta he
Dr; Bhai ka aur tumhara compare hota he ?
Un (parents ) dono ko asa he ham dono ghar pe na rahe
Dr ; Iska kya asar hua ?
Pt ; Pune me tha thik tha master kar raha bsc kyo Kia army kyo nahi kiya
Muje tha me CBSC kiya me top me tha me ground me kyo jau jo acche mark k nahi o ground Pe hote he me kyo jau ? Jo 10 th me kese bhi pass hote he o ground Pe hote he mera ego tha k me merit me hu to me nahi jaunga as a officer jaunga
Parents ko koi kimat nahi koi appreciation nahi ,nam tak kam kar
Job kar kuch to ham sabko kahe kuch karta he hamara beta gao k mentality kesi hoti he
Gao me 10 hajar bhi kamaye to kehte he dekho o kamata he
Dr ; Gao se aye yane ?
Yavatmal
Dr ; Kese manage karte ho fir ? (Parents ko )
Me bat nahi karta 15 days ke ek bar karta hu kuch khas nahi me mere room me hota hu upar
Sirf khana Khane ko jata hu baki sare relative k sath me accha hu mere hi ghar me nahi ghumake ata hu
Unko beta he pehlese ? Shadi hui aur ek ,unke shadi ko 5 sal hua unke bete se Muje prob nahi
Dr ; Me samja nai ?
2 parents he ?
Pt ; 2 maa he , meri maa uske ghar pe he ( maternal )
4 sal se hi bat hui meri khudke maa se
10 sal kabhi bat nahi ki Muje nahi pata tha meri maa kesi dikhti he
First yr me ek din uske ghar k pas se gaya tha to contct hua
Dr ; Parents ko pata he maa se bat karte ho ?
Mene nahi bataya ghar pe par unko pata chala isi bat pe hi jagde hote he
Me papa k side se tha 10 tak badme Muje samja kya prob hua ek hat se tali nahi bajati
Muej aaj bhi nahi pata kya hua in logo k bich me
Meri maa aaj bhi Apke nam ka sindur lagati he name lagati he
Usne jada sacrifice kiya ,Apki jada galati he mene papa ko samjane ki koshish ki fir Bahot jagde ho jate he
Papa kehte he ; itna pyar ata he ab to pehle kyo nahi aya
Dr ; kya lagta he Bahot chal hua ?
Pt ; Ab me jada dhyan nahi deta maa nahi he ,papa k liye he k parents he papa ka he maa ka nahi , jab bhi jarurat thi sath nahi the ,
Me mera kama lunga
Me Pune me rehta hu ab
Ab mene mere maa (sagi) se finically available kiya , friend se hota he
Ab lagta he Job karuna
Defence me jana he Muje
Joining lena he railway ka uska hope gaya (end tak sare interview huve )
Icmr ka he trial exam preparation kiya
Efforts le raha hu
Sab jagah se Failur jada he kahi bhi ek percent se reh jata he
Phase depression jese he
Insan har jata he sehan nahi hota 5 round karne ka bad 5 din se wapas aao
Dr ; 2 attempt kese manage kiya ?
Trial karta hu Exam clear karne ki is bar hard gaya paper
(Discussion on paper pattern )
Dr; Aur kuch batana he ?
Pt. ; Hamm , ha , 5 yrs ek ladki k sath accha tha engagement karna dec me , tha fir usne mana kar diya uske bad taklif hui ye sab
Depression family matter Aur o ladki
Relation tutata to kuch nahi lagta par
Relation kisi tisare karan tuta
Lockdown me usne kaha pehlese jise pyar karti thi uske contct me aai use wahi cahhiye tha
Ke us ladki k sath tha uska kahi aur hi tha pehle se tha cheat jese hua
Confirm kiya Frinds ko phone kiye
Ghar pe aake gai bat karke gai meri maa ko bola uske parents se mile marriage tak bat ho gai thi
Pata nahi lockdown me kya hua
3 month blank tha khana bhi nahi gaya yaha waha jake Bethana kisike ghar jake gana sunana ,bathroom me bethe rehna , lockdown me koi nahi tha kisko bat karta
Kuch samaj nahi aya kya tha
Ghar ka tamasha aur ye relationship
Meri maa ko nahi milane ja paa raha tha (lockdown ke karan )
mila use bat ki thoda thik laga tha
Involve Bahot tha extreme had tak bas Shadi ka label baki tha
Khana pina sona 24 Hr sath 5 yrs
Dr: Badla nahi lene ko man nahi hua ?
Pt ; Uske maa ko phone kiya par uske maa uske side me thi unke sanskar aise honge
5 sal kya tha fir ? Kya prob hua ? Me kya pasand nahi tha ?
Uski maa ne kaha chod dena fir aise bhi ladke hote he chod dete he me kya aisa nahi ,
Usne blame kiya k mene Mara and all zhute blame kiye
Usko karna hi nahi tha pehlese
Usko sikhao , sanskar do
Sab senseless tha usko hi karna nahi tha , har ek chij batai
Sirf boyfriend nahi tha uske father jese bhi role nibhaya
Kisiko bhi puch lene mere pith piche
Mere character pe koi ungali nahi utha sakta ,,,,
In short ,patient sharing how he stand for her in her bad days ,injustice can’t support
He went as guardian to protect her
Her frined said only cause of you she might be improve her self as everyone’s opinion is not good about her
This person felt uske loyal hone k karan uske sath bura hua uske sath bura hua ye feeling he , jab yad ata he itna feeling hota he isne feeling the blank kiya
Jab pehla ladka chodke gaya tab iske sath rahi uska pehla wapas aya to wapas chali gai
Her fiends told him you the were only one good boy in her entire life.
Rubrics Selected :
A/f betrayed being
Delusion betrayed that she is
A/f love disappointed
Detached
Hatred revengeful and
Delusion cheated being
Rhus glabra 30 3doses
Follow up :
0n 10th day
Greet to dr
Dr ;How r u
Pt ;I am fine
Dr : Pls explain in detail how’s feeling
Pt: I was suffering breathlessness and chest pain for whole day now there is no pain and fresh
After meal heaviness was there but now lighter feeling
Whole day I was feeling breathless but now nothing
Even my fear also reduced earlier was like I was thinking I have to stop somewhere cause of breathless ness pain ,suffocation everything is better
Dr :How’s thoughts spl past ?
Pt: Hamm ;yes I am having it ,still everyday before sleep but
Reduced than earlier
Dr :Have u done 2Decho
Pt: It’s normal no clot nothing
Dr :How’s with mother and father
Pt :No I am still not talking with ,sometimes only one call when I needed them
They were never there for me so talk over for work purpose only
Dr :Okay
Rx SL continued
Thursday 26 November 2020
Phos : case chronic acid peptic disorder, Anxiety
Dentist professional
Acidity recurrent since
10:12 yrs
Took homeopathic also
3;4 yrs back gastroscopy
H pillory infection ?
Visit Gastrologoist Solapur
Dr Said anxiety related and psychological issues nothing else taking antacid for that
Habitual hua hu , kabhi kabhi taklif hoti he vertigo ho rahe the ,rest liya to thik lagta tha par kabhi accha hua hi nahi he ,,,bich me 10:15 din kuch nahi hota he fir ekdam se hota he
Kabhi kabhi hota he mark nahi kiya koi relate nahi kiya stress se
Kabhi kabhi hota he stress se u know reason hota he man k Khilaf hua practise me kuch hua to stress hota he par continue nahi he
Staf k sath accha he 30 ;40 pt dekhta hu patient pe nahi chidata acchi practise he finically I am stable
Kabhi koi patient pareshan karta he par me dikhata nahi man me rakhta hu
Staf pe bhi nahi chidta
Sara ghussa shayad mera meri beti nikalta he sunti nahj he pani manage to badme degi Exzeesize karo bola to karti he ek do bar fir bhul jati he ladki 10 sal ki he 2 sal se hi uspe chidta hu
Lagta he o sune ek hi bar me Kahu to
Ghar pe wife son and daughter he sabke sath thik he
Wife k sath bhi accha coordination he use homeopathy karne k liye support kiya supporting hu lions club me bhi use karaya age conflict hota he family matter pe kabhi kabhi meri family ko leke hota he kabhi meri family uneducated he use Thoda pasand nahi baki itna nahi he
Me rishtedar aur family k isme jada involve nahi rehta career oriented hu meri family ko time deta hu wife and kids but baki sare relative ko jada priority nahi deta mera time hua to chala jata hu
Kisi relative ka kuch nahi he me Akela hi jada educates hu meri family Bahot garibise age aai he ,unko abhiman he mera ,mere papa k jesa hu me ,mere papa bhi apne family ko accha samay dete he baki family relative ko itna imp nahi he unko bhi asehi problem he mere acidity jese unko bhi he Muje bhi he nature bhi same he ,mere papa ko Mujse koi problem nahi he ,hoga to bhi bataya nahi he ,maa Thoda darti he Mujse ,Muje koi chij use pata he nahi bolti he fir ,Muje finicial and all mater pe dekhta hu unko nahi samjta fir me jada dhyan nahi deta hu
Other dr k sath acha he mera mere second ko ki practise he jr k sath to accha repo ahe kisise koi compition nahj he ek sr k sath me rakhta he man me hi par uske jesa ya usase age par jealous nahi hu na rakhta hu
Mene apne apko bandha hua rakha he kisike status ya pese ka kuch nahi he mere papa ka floor mil he Abhi bhi o uspe kam karte he me khud bhi waha kam karta tha free time pe Bahot pehle ,chota bada sara kam kiya he itna me rakhta nahi Muje pata he mera
Lions club ka president reh chuka hu ,acche friends he ,social status accha he har ek program me bulate he pesa secondary he , mene banaya he mera status ,4 sal se change hua he sab maintane karta hu ab social involvement karta hu pehle nahi karta tha pehle Carrier oriented hi tha par ab sab karta hu
Ek sr he 7:8 yrs bade he ,unke yaha kam bhi kiya he unse age nahi par unke jitna hona he ,unethical nahi karna chata par lagta he no 1 to ho sakta hu
Choti bimari ,bhi badi lagti he kabhi kabhi wife ka usko sinus bronchitis ka lagta he ,md ko dikhao usko bolta rehta hu chalo bade Dr k pass jayege ,mere pehchan k he dr waha opinion le sakte he ,ladki ko bhi le jata hu health related conscious rehta hu
Health related hi thodi rehti he jada anxiety mera batch mate gujar gaya 3 sal pehle MI
Mene bhi mera ecg kiya chest pain hua tha tab 1:2 bar karke aya wife ko
Bhi nahi pata shayad
Thoda suffocation jesa hota he train me bhi ,hua tha local
Se nahi kiya travle ,us din Bahot gardi nahi thi badme Bahot gardi hone lagi to Muje aur bhi taklif hone lagi ,irritate hone laga ,,,,
Pani me gir jaunga sea k pas lagta he k dub jaunga kabhi bus se gaye train ulat jayegi pani me
Extrme level ka dar thought ata ,acidity ,khudse invistigate karke ata hu ,ek patient aya uski wife gai ,pet cancer hua tha ,uska suna to stress hua ,fir mene bhi sonography karke aai khudko koi prob na ho
Ek bar anal bleeding hua tha 7;8 yrs pehle fir badme 5 sal bad hua surgeon ko dikhaya kuch nahi nikala
Gastric related sare problem he isliye laga fir karta hu
Thoda restless hota he rule out karne ka rehta he
Cough bhi hua to rule out kare miss nahi karna he
Allergic sinusitis he 12 sal se wife ko uska bhi test karaya usko bhi treatment karaya
Allergic bronchitis he o badme copd hoga fir usko old age me asthamatic hua to usko hi prob hoga so usko bhi abhi Treatment karaaya
Bichme 1 .1/2month se jada patient Pune se aa rahe the band karaaya bichme barshi me sabne decide kiya tha one and one half month band kiya corona k karan April me OPD chalu kiya
Dr friend ko pucha dar nahi lagta kya fir usne kaha uske bad fir mene bhi start kiya tension Thoda ata tha fir bhi kiya
Fir ek din sardi hui ,exposure hua hoga so homeopathy ka mindset nahi tha so mene anti cold le liya use pata bhi nahi hoga
Azithromycine li thi 3 din
Sham ko nahi jata ab thode din
100 patient ho gaye ab Roj ke ,pata chala ek friend gujar gaya to back of mind stress hua 2 din Thoda lagta he fir wapas karta hu
Wife on call ;- I am only dominating
Husband is co operative patience he khup me hi chidti hu chije bhi feki to bhi ek shabd nahi bolate
Kids aur mere liye bhi Bahot cautious he thoda darte jaldi he
Pehle se strong ho gaye pehle stage pe nahi bol pathe the ,ab accha hua he
Ek unka friend gaya to dar gaye the
0 se start kiya poor family se aye khud achieve kiya ambitious he family ka care karte he investment karte he finically sound he to uska problem nahi he
Thoda alasi he saman yaha waha rakhte he khate wakt girate he choti choti chije me fastidious hu unko dhul me bhi kam chalta he
Unko lagta bhi nahi me dominate karti hu
Kisiko kuch kehte nahi hurt nahi karte par
Silently badla lete he ,usko realise karayenge kisko galati he
Kisine kuch kaha to achieve karte he baher k logo ne ego hurt kiya to dil pe leke achieve karenge
Par family walo k sath kuch nahi he sun lete he me kuch kahu to
Rubric selected :
Ambition increased
Anxiety health about relatives of
Delusion wealth of
Communicative
Indifference relations to
Light desire for
Patience
Pompous important
Phos 200 tds 3 days
F/u after 2wks :
In between felt acidity but did not take antacid.
Then follow up after 1 month :
No complaint as such but one dentist expired from Covid 19. Feeling anxious.
Phos 200 in water dose
Then follow up after 2 months :
Everything is fine.
Thank you so much doctor.
I never thought it will be cured permanently.
Thank you once again.
Sunday 27 September 2020
Difference between naive n credulous
Dr Sanjay Jadhav: Difference between naive n credulous
naive :-
No one likes being called naive, since it means you lack sophistication or street smarts.
Definitions of
naive
1
adj marked by or showing unaffected simplicity and lack of guile or worldly experience
“a teenager's naive ignorance of life”
“the naive assumption that things can only get better”
“this naive simple creature with wide friendly eyes so eager to believe appearances”
adj. inexperienced
Synonyms:
innate, unconditioned, unlearned
not established by conditioning or learning
credulous :-
disposed to believe on little evidence
Thats why get deceived easily
credulous :-
People who believe things easily without having to be convinced are credulous. Sales people are always hoping that someone credulous picks up the phone during a sales call.
Definitions of
credulous
1
adj showing a lack of judgment or experience
“so credulous he believes everything he reads”
Main difference is...
Credulous person does not learn from his or her experiences...
Naive person learns from experiences...
Monday 14 September 2020
Bambusa : Covid 19 case
Dr Sanjay Jadhav: Ye ek General practitioner ki case hai......He is my friend so talking friendly with me.
Age 37yrs/M
C/O -fever
-Malaise
-Cough with
expectoration
-Headach
Since 2-3 days
First 3 days of an admission,no fever,no bodyache,cough in less intensity......
On 4th day,at evening temp spikes to 99.8 with headache,leg pains,cough increased with spo2 95-paracetamol taken
5th day again fever spikes 100.5 with same complaints with spo2 showing 93, patient becames anxious........his friend suggest him to consult dr.Sanjay sir n at 11.40 pm case was taken. Conversation taken place as follow
Dr.ha boliye kya taklif hai?
Pt-Ha sanju....
Dr.bolo,kya taklif hai
Pt-Admit hu yaha...COVID positive
Dr.Ok,how are you?
Pt-Saturation abhi kam hai,thodi khansi hai(tone low)
Dr.spo2 kitna hai?
Pt-93-94
Dr.Admission k waqt kitna tha?
Pt-97
Dr-ok,then....
Pt-khansi badh gai hai,malaise hai,fever aa raha hai,sir गच्च (congested)hai
Dr.abhi mind ki condition kya hai?
Pt-thoda darr lag raha hai aur kya...(tone anxious)
Dr.kis baat ka darr?
Pt-bacchon ko leke.....
Dr.means?
Pt-with embarrased smile.......fear of death..etc..etc
Dr.jo bhi bolna khulke bolo...short cut mat bolo...
Pt.darr lag raha hai.....rona bhi aaya dopeher me...😔 ladke ki photo dekh k,wo bol raha tha ki papa muze aap k pas ana hai,aap ko hug karna hai.............to usse zuth bolke me idhar aaya.....
Dr.hmm...aur
Pt.pause.........phir se mil paunga k nahi usse..
Dr.Itna sab soch liya🤨
Pt.taklif he itni zyada ho rahi thi...but me turrant mind divert kar deta hu....kuch pal k liye khali aisa lagta hai.........
Dr.-kab pata chala positive report hai aisa?
Pt.-aap ko call kiya....aap k mutabik 5pm tak fever nahi kam hua to me gadi nikala aur hosp gaya
Waha isne HRCT,CXR,blood test kiye.sab normal aaye...ghar chala aaya...RT-PCR kiya...found POSITIVE...admit ho gaya
Dr.positive aane k bad mann me kya chal raha hai?
Pt.Kal tak sab accha tha,but kal evening se fever suddenly badha,cough badh gaya......pehle din ki tarah condition ho gayi
Dr.sirf ladke ki yaad aayi?
Pt-nahi....ladka,ladki,wife ki yaad aayi na😊 maa-baap ki bhi yaad nahi aayi(embarrased smile)
Dr.nahi,tumne biwi ka nasm nahi liya so mene pucha....
Pt.nahi..bacchon ka sabse pehle yaad aayi
Dr.phir se mil payenge ya nahi itne tak laga aap ko??
Pt.Hmm...
Dr.anything else?
Pt.hmmmmm...pause.
Dr.bolo bhaiya....
Pt.kya bolu...kuch samaz nahi aa raha......(like confused people)
Kuch positiveness k liye mob me dekhta hu par mann nahi lagta....
Dr.admit hone k baad pehle kya kiya?
Pt-sir k pair chua.....(coz he was there in past for RMO ship)
Dr.after a pause........bacchon se phir se milna hoga k nahi itne tak laga...
Pt.hmmm
Dr.aur...
Pt.pause...............
Dr.boliye.?
Pt-aur kya bolu kuch samaz nahi aa raha hai...positiveness k liye kuch dekhta hu par mann nahi lagta
Dr.admit hone k bad pehle kya kiya?
Pt-sir k pair chua..mere guru he hai wo.....
Dr.tum pehle se decide kar k waha gaye?
Pt-sir ko report bheje...to wo bole 2-3din admit ho jao..
Dr.gharwalon ka kya kehna hai??
Pt-unko bola ki kuch nahi fever hai..normal hai
Dr.ab aap kya expect karte ho?
Pt.accha hoke ghar chala jau jaldi....pause................(spontaniously) aur ek mann kehta hai ki pichle KAND(करतुत) ka to parinam nahi hai na....
Dr.kya..kya..🤨
Pt.(with embarrased smile)pehlewale लडतरं(premarriage affair)the na....kahi uski wajah se to nahi na hua...
Dr.main samza nahi..?
Pt-mera mumbai me affair tha....mene us ladki ko phasaya.....phasaya bole to...vaisa nahi lekin kahi cursing-birsing...shap vagaira to nahi na aisa lagta hai........(smile)
Dr.okkkk,aur?
Pt-subah dharmik naam vagaira leta hu....
Dr.to aap bhagwan ka nam lete ho
Pt-ha..
Dr.regularly lete ho ya phir abhi abhi......?
Pt.nahi regularly..but abhi jyada he.....
Dr.dr ne phir samzaya k aap bahut kam bol rahe ho...muze selection k liye information zaruri hai.....aisa-vaisa....
Pt.meri mann sthiti he nahi na re sanju......(nervous tone)my mental state is not so good.....
Dr.what is going on in ur mind,plz tell me....
Pt-mind 1dum dull ho gaya hai...सुदुर-बुदुर ho gaya hai(सैरभैर)........aisa kyon hua yahi sochta hu....logon k liye itna kiya phir bhi aisa hua karke....
Dr.to usme kisko doshi mante ho aap?
Pt-dosh nahi...smileउदास....destiny aur kya..
Dr.kaise?
Pt-nahi to kya phir........
.nature(निसर्ग)ne muze yaha khada kar diya..
Dr.matlab aap k hath me,bhagwan k hath me ya phir destiny k hath me???
Pt-muze lagta hai ki mere ku-karmo ki wajah se......☺️
Dr.okk.....to kya lagta hai ab bhagwan kar rahe hai ye sab ya tumhari destiny tay hai ye??
Pt-nahi muze lagta hai ki usi wajah se(ku-karma)...
Dr.to apko lagta hai ki bhagwan aap ko jan buz k taklif de rahe hai uskliye.??
Pt-ha..hota hoga par mene abhi CONFESS kiya hai abhi k future me aisa phir se nahi karunga.......aisi phasva-phasvi(cheating) phir se nahi.....pause................
Phasavnuk me spouse k context me bol raha hu haan.......in relation to spouse
Dr.aap ka wife relation itna strong nahi hai kya?
Pt-aisa kuch nahi.....
Dr.nahi...tum her baar bacchon k naam pehle le rahe ho na....
Pt-nahi...wo to pehle hai..usk baad bacche ayenge na...
Dr.ok....with this limited information i have to think n then have to prescribe.......
This is the case.....audio ka max feel dene ki koshish ki hai.....if any doubt dnt hesitate to ask me or dr.sanju🙏🙏
Rubrics -
1. Despair - fear of death, with - death will separate him from his children
2. Despair - destiny - everything is controlled by
Remedy -
Bambusa 200 3doses at 15 min interval
Follow up :-
Next day evening
((((SPO2 was 93 at the time of admission in covid care center)))
SPO2 97
Feeling fresh
No fever
Cough is there but less intensity
According to protocol has to continue on Remdecivir n all...
Discharged from covid center on 4th day evening after Homoeopathy medicine...